Kab Tak Lyrics – aleemrk | Jokhay | Talhah Yunus

Kab Tak Lyrics by Jokhay is a New Hindi song sung by singers aleemrk, Jokhay & Talhah Yunus. Lyrics of this song are written by Talhah Yunus, Jokhay & aleemrk and music also produced by Jokhay.

Kab Tak Lyrics

2013 meri umaar 11 saal
Mein jitna ghar ke andar utna se zyaada ghar se bahar
Mein jitna dar ke jeeta utna dabati ye dunia
To me banta tha bas, nahi tha ratti bhar vi samjhdaar

Samjh yaar mujhe haar manjur nahi thi zara vi
Yaha zor pe asle ke duniya ek dusre ko dabati
Yaha shor karna aam yaha chor hukmaraan
Yaha insaan ko izzatdaar us kee badtameezi banati

To vara dee apne andar meine ana bhi
Maut ka din moyean to maut se me dara nahi
Bohot dekhe chehre, abe bohot dekhe chehre
Mujhe mat bata ke beta kisne kiski nasle tabah kee

Azaadi abe ghanta nahi hai sheher mein
Bike pe aata banda dekh kar 2 minute bhi therte?
Nahi na to kaise tu azaad huya
Sab kuch dekh kar chup to tu bhi maashre ka daag huya

Khaak huya 75 saalo me kuch behtar
Bole ‘Geo To Aise’ par yaha beeke news channel
Ghoos panel kha kar bole so sorry
Do kaudi saale do call upar se nai kee chale jaati job fori
Shauk bohot hee mujhe lagte inke neech hain

Ehsaan nahi kiya humpe banke yu ameer han
Jo mila kiya shukar
Jiada paane ke chakkar me Khuda kasam
Kabhi kara nahi soda is zameer ka

Kab tak yuhi darte rahe?
Begunaah bepannah marte rahe
Har din jahalat ek naya case
Maae kyun na kahe bacho ko ghar me rahe

Kyun na in sarko se bach ke rahe?
Kab tak in rasto mein phaste rahe?
Insaaniyat nahi dikhti in logo me mujhe
Ye kis muh se firko pe batte rahe?

Abe khoyenge tab na jab paya ho
Wo chup rahe jisne yaha khaya ho
Aisi siyasat pe thooku jaha mohalle mein bhuke
Aur mehelo mein nemate zaya ho

Har banda afsurda har bande ke 20 gam
Masle yaha 100 kya kya kare theek hum
Badle ki soch kaise badlenge jaana
Jab duwaon ke badle mein hee dete hai bheek hum

Jee hum itne geere hue
Saazish khilaaf lage sab mile we hai
Inki shakale bataye meri kaamyabi khaye inhe
Tabhi ye udaas aur chirchere hai

Par khair thora farak hoga
Meri jaan hum se bach tujhe dard hoga
Abe dekh na kon saath mere King of my city
To kese iconic nahi verse hoga?

Sunta tha YoungStunners Frontrow pe
Ye collab mera sapna tha barso se
TY saath tujhe G – Side maar dega
Aur kitne fame ke liye tarsoge?

Bhuke footage ke ye leechar hai na
Inke murde in career pe keechar rehna
Beta ye sabar hai kala ke qadar hai
Marke bhi ise na feature kehna

Maazi peeche chhorke
Hume chal parhe
Taqdeeron ka rukh morh ke
Yahaan khade

Sab zanjeeron ko todke
Chalte rahen
Ummeedon ko jodke
Ladte rahen

Utaar saare karz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban
Dunia matlabi hai par tu ek misaal ban

Soch ye, anaa na ho sawaar bas
Seekhe nahi sikhate seena phaar kar
Zindagi guzaari intizaar kar

Khuaab honge pure rakh sambhaal kar
Gunaahgaar shayar layak bhi na pyaar ke
Karte hein izhaar sab kiya khwhiaason ko maarte
Samjhdaar magar shehar ke liye jaan de
Yahan koi bhuka soye nahi
Ye log ab deewaar se

If I die put money on the streets
Sadke ghayab magar saare phir bhi dheet
One four
Ride or dies
Alag vibe
Alag reach
When I be on the mic
Saare high kiya me weed?

CD waale daur se aaj Spotify ke charts pe
Kuch kutte aa ke bhonte
Toh haddi de ke daant te
Kuch bichhu darr ke kaat te
Kuch paise peeche bhaagte
Fitratein insaan ki
Par nafratein ye daagh de

Galle kaato inke haath baandh do
Kya hi diss karenge mujhe ye chaar paanch (4-5) log
Idhar palle jidhar aaye din hi waardaat ho
Chali goli toh bheje se tere aar paar ho

Par khair
Baadalon aur choontion pe rakhte nahi pair
Dilon aur dimagon mein bhara huya hai zeher
Neymaton se dooba hua mera pura shehar

Chote tair, ya toh ther
Kya andhera, kya sawer
Saare bante sava ser
Man I’m done with rainy days

Khaali karo mera stage

Chote aukaat mein reh
Qaim apni har ek baat pe hai
Karachi ko daala hai map pe
Tere hum baap hain chote aa naap to le

Mein inse 6 foot ooper
Chhatti hiss ne roke we mere 600 shooter
Bulletproof jaise Luke ke toh guzren hi na chhu kar
Baatein chodain peet peeche yaar bane saare muh par

Chalte khuda ke sahaare
Kabse ghar ko bhi chala rahe
Khwaab poore karte jaa rahe, sabki chaltian sudhaare

Kyun ye mujhse jalte saale aaj bhi
Inki is jalan ka mera paas ab ilaaj nai
Apni madad aap, sochen roj bas aaj aakhri
Aadatein bigaadi zindagi ne, paisa raas nahi

Kisko phir vote de?
Har kisko rokte
Phone de ya thok de, baandh inhe chowk pe
Likhta insaniyat pe dekhe meine maujzay

Sikhaun tabhi shauq se, aage mein tere soch se
Lade hue hain maut se, khade abhi vi top pe
Kala ye azaad likhen danke ki chott pe
Karenge sab yaad jo hum aaj likhna chhor de

Maazi peeche chhorke
Hum chal parhe
Taqdeeron ka rukh morh ke
Yahaan khade

Sab zanjeeron ko todke
Chalte rahen
Ummeedon ko jodke
Ladte rahen

Utaar saare karz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban
Duniya matlabi hai par tu ek misaal ban

Utaar saare karz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban
Dunia matlabi hai par tu ek misaal ban

Song Details
Singer : aleemrk, Jokhay, Talhah Yunus
Lyrics : Talhah Yunus, Jokhay, aleemrk
Music : Jokhay