Jhootha Lyrics – Altamash Faridi

Jhootha Lyrics by Altamash Faridi is a New Haryanvi song sung by Altamash Faridi and music video featuring Rakhi Sawant & Salman Shaikh. Lyrics of this song are written by Shabab Ali and music given by Asif Faridi.

Song Details
Singer : Altamash Faridi
Lyrics : Shabab Ali
Music : Asif Faridi
Label : AB Bansal Music

Jhootha Lyrics

Teri khushi ke khatir
Har dard apna bana liye
Tu fir bhi mera huya nahi
Toone yaar mujhko mita diya

Jhootha dilasa deke
Mujhko gaya tu
Karke wo jhoothe waade
Chod gaya tu

Kisko sunaye hum
Teri wo batein
Deke sahara mujhko
Chod gaya

Ab mere paas khone ko
Kuch bhi nahi
Tha tu hi paas mere
Tu hi nahi

Jitna rona tha tere
Pyaar mein ro liya sanam
Tu hi sab kuch tha mera
Tujhko kho diya sanam

Jitna rona tha tere
Pyaar mein ro liya sanam
Tu hi sab kuch tha mera
Tujhko kho diya sanam

Tu mere sath jab tak tha
Dard mein bhi ik sukun milta tha
Ishq ko mere kiski ye najar lag gayi
Ho gaya tu juda kyun sanam

Teri bewafai ki barish mein
Khud ko dho liya

Jitna rona tha tere
Pyaar mein ro liya sanam
Tu hi sab kuch tha mera
Tujhko kho diya sanam

Jitna rona tha tere
Pyaar mein ro liya sanam

Teri khushi ke khatir
Har dard apna bana liye
Tu fir bhi mera huya nahi
Toone yaar mujhko mita diya

Kho diya kho diya
Tujhe kho diya maine
Kho diya kho diya
Tujhe kho diya maine
Kho diya tujhe maine

Ho tujhe kho diya maine yaar mere
Tujhe kho diya maine yaar mere
Tujhe paake mila kuch nahi mujhko
Jab tujhe aana hi tha to
Kyun gaya chod ke

Ho tujhe kho diya maine yaar mere
Tujhe kho diya maine yaar mere
Ho tujhe kho diya maine yaar mere
Tujhe kho diya maine yaar mere

Jhootha Music Video