Kya Loge Tum Lyrics – B Praak | Akshay Kumar

Kya Loge Tum Lyrics by B Praak is a new Hindi song sung by B Praak and music video featuring Akshay Kumar & Amyra Dastur. Lyrics of this song are written by Jaani and music given by B Praak.

Kya Loge Tum Song Details
Singer : B Praak
Lyrics : Jaani
Music : B Praak
Director : Arvindr Khaira
Label : Desi Melodies

Kya Loge Tum Lyrics

Arey daulat ya shohrat
Duwa loge tum
Ya koyi mehal naya loge tum

Arey daulat ya shohrat
Duwa loge tum
Ya koyi mehal naya loge tum

Yaar mere tu bata de mujhe
Ho yaar mere tu bata de mujhe
Ho meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum

Meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum
Meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum

Yeh chand ya taare
Hawa loge tum
Ya likhne ki meri
Kala loge tum

Yaar mere tu bata de mujhe
Ho yaar mere tu bata de mujhe
Ho meri zindagi se jaane ka

Arey kuchh toh bol munh toh khol
Pyar bhi dhoondh ke de denge
Arey kuchh toh bol munh toh khol
Pyar bhi dhoondh ke de denge

Aur kya kardein tujhko
Hum naya yaar bhi
Dhoondh ke de denge

Aur kya kardein tujhko
Hum naya yaar bhi
Dhoondh ke

Ho mujhko yoon jaldi
Bhula loge tum
Ho jab ghairon se
Nazrein mila loge tum

Yaar mere tu bata de mujhe
Ho yaar mere tu bata de mujhe
Ho meri zindagi se jaane ka

Laawaris hai pyar tera
Ghar baar koyi nahi
Tu dushman hai ab mera
Yaar vaar koyi nahi

Ho sanki hai paagal hai
Paagal banata hai
Jaise maine chhoda
Mujhe aankhein yoon dikhata hai

Ho pata nahi kya chahta hai
Maan thodi de denge
Jaan hai toh kya huya
Jaan thodi de denge

Ho mera bhi zameer hai
Aisa thodi hota hai
Zindagi mein har cheez
Paisa thodi hota hai

Ho ishq bhi koyi cheez hai
Khuda hai gawaah hai
Ho ja jaani tujhe meri
Yeh badduwa hai yeh badduwa hai

Ke chahoge jisko
Gawa loge tum
Jo karte ho shayari
Bhula loge tum

Yaar mere tu bata de mujhe
Ho yaar mere tu bata de mujhe
Ho meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum

Meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum
Meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum

Ho meri zindagi se jaane ka
Kya loge tum

Kya Loge Tum Music Video